shabd-logo

Shikayten

19 June 2024

9 Viewed 9
Maine kabhi socha nahi tha ki mai kabhi ye kahhungi....lekin sach maniye mai hi vo ladki hun jo kabhi bhi harna nahi sikha.

hamseha vo Kiya Jo sahi tha , vo Kiya jisse kisi ko taklif na huyi bhale uski vajah se mujhe jitni bhi taklif huyi ho.

kahaniyon ke jab aap khud ke hisaab se likho to likhna kitna aasan ho jata hai na...? aisa isliye hota hai kyoki hum use khud me jine lagte hai.


kabhi kabhi lagta hai mujhe Jo mil raha hai mai usse accha deserve hi nahi karti. hamesha khud ko her vo chij karne se roka ho meri umr ki ladkiyan karti hai ya karna chahti hai....par maine hamesa khud ko yahi samjhaya koyi baat nahi aane wala vakt tumhara hoga.

Par mujhe ye nahi pata tha vakt to aaya lekin mere alave sabka . Apni khushiyon ko maine apne hi hatho se tabah kar li .....Pahle Kismat par fir parivar par bharosa karke.

Duniya me ek chij Mai hamesha se janti thi aapka apna sirf aur sirf hum hai ...uske bavjood maine vahi galtiyan ki aur doharayi Jo mujhe nahi karni thi.

sabne bevkoof banaya aur mai banti gyi...sabne Mera bas Kam ke liye aur apni jarurt ke liye istemal kiya aur mai hoti gyi.

mere liye khud ke sath sath apno se ummid rakhna bhi ek gunah hai, jiski bharpayi mai aaj tak karti hun.

akasar maine jinpar khud se Jayda bharosa kiya unsabne hi sabse jyada bharose ko toda...ye samjhkar ki mai insan thode na hun...mujhme na to feelings hai aur na haq ki mai apne liye kuchh Karu ya kahun.

continue....

More Books by Aakashi

3
Articles
Mere Shabd
0.0
Ye kuchh aisi baaten hai jo her koyi share karna shahata hai lekin kabhi sharm se to kabhi dar se kabhi kisi se nahi kah pata..... Bas un kahaniyon ko mai apne shabdon ki mala bana rahi hun...!