shabd-logo
Shabd Book - Shabd.in

Aik Ladki aur uska sngharsh

Latu khan

0 Chapters
0 Person has added to Library
0 Readers
Free

Shayra aik aisi ladki thi jiska janm 15 agast 1995 m hua tha uski do behnen aur aik Bhai tha shayra apne Bhai behnon se thoda alag thi bo bahut hi bholi kism ki ladki thi bachpan se hi uske mata pita uske baaki Bhai behno se pyaar karte the aur shayra se bahut jyada bhedbhaw rkhte the bo jab bhi kissi chezz ki apne mata pita se maang rakhti thi usse bo cheez nahi milti thi balki uske badle usse maar khani padti thi ye kehke ki bo bahut hi jyada jeedd karti h lekin bo aisi bilkul nahi thi phir bhi sab use jiddi hi kehte the bo jab bhi school jaati gharwale sabhi Bhai behnon ko aik aik rupay deke school bhejte the sibaay shayra ke usse sirf pchaas paise deke school bheja jata tha aur rote rote school chali jaati thi ye soch ke ki mata pita usse thoda Kam pyaar karte h kunki us time PR chawni athanni aur rupay ka riwaaz hota tha phir shayra school se ghar aati to Ghar aake kapde badal kr aur khana khaake sidha ghaas lane chali jaati thi kunki bo aik gaon m rehne wali ladki thi ghaas laane ke baad gobar uthana bhansh se duth nikalna fir Ghar aake shaam ka khana bnaana sabko khilana aur bo ye sab karke bahut thak jaati thi aur so jaati thi subah uthke phir yahi sab kaam karke school jaati thi ghar m usse thoda sa bhi waqt nahi milta tha padhai karne ke liye bas uska ye Roz ka rutin ho gya tha aise hi Kai saal beet gay yahi sochte sochte ke uske Ghar waale usse pyaar jarur karenge aur aise hi Kai saal beet gay aur aik din bo din bhi aa gya jab bo 18 saal ki ho gai pehle uski badi behen ki Saadi Hui phir shayra ka no. Tha shayra Saadi ke liye mna karti thi lekin gharwale uski nahi sunte the aur aik uske liye aik rista dhund hi gharwalon ne Ab yahin se suru hoti h shayra ke sngharsh ki suruaat jo m aapko part 2 m btaaungi lekin usse pehle aapko mughe ye btana hoga ke aapko meri is story ki suruaat achi lagi ya nahi tabhi m aapko ye aage ki story btaungi ager meri story ki suruaat aapko achi Lage to please meri is story ko bahut aage Tak leker Jana thanks 

0.0(0)

Other History books

Parts

no articles);
No Article Found
---