shabd-logo

LEADERSHIP

27 December 2023

11 Viewed 11
agar aap kisi bhi company ke leader ho ya kisi bhi field ke leader ho sabse pehle ye Jaan len ki ek leader ko kabhi bhi kisi ek employee ke favour me nahin bolna chahiye ya uski tarif sabke samne nahin karna chahiye kyunki aisa agar aap karte ho to baki sab employee pe negativity ayegi isliye agar apko ye lagta hai ki kisi employee ne bahut acha kaam Kiya hai to uski tarif aap akele me karen usko motivate karen, usko mentor karen haan appreciation zarur show karen ki haan apne humari company k liye bahut kuch kiya hai. ye sab apko sirf uske samne karna hai baki sab employee k samne nahin.

ek leader ki ye bhi duty hoti hai ki wo apni company me ek healthy competition rakhe jisse sabhi employee ko kaam karne me aur bhi maza aye aur ek dusre ko piche chodne ki challenges us sabhi employees ke samne ho. isse hoga ye ki company ke liye kafi positive result ayega aur company bahut jaldi developed hogi.

Ek leader ko ye bhi chahiye ki wah kabhi apni tarif apne employees ke samne na kare bas sure kare ki aap koshish kar rahe ho ek ache result k liye aap work karte raho result acha aane ki umeed humesha bani rahegi.

Thank you....
2
Articles
THE WAY OF SUCCESS LIFE
0.0
Is 📖 book me life me kaise sari problems ko face karna hai ye janne ka mauka milega