shabd-logo

Kuch baate Raaz hi rahe to acha hai

4 January 2023

72 Viewed 72

Ek gao me ek pariwar rehta hai ghar me sirf lakshami or uske 2 bachche rehte the lakshami k pati ki death sharab peene ki wajah se ho gai thi fir lakshami ka pariwar kafi mushibato se gujarne laga fir ek din lakshami k pariwar ne kue me gir k suicide kar liya sare gao wale kafi Dare hue te kyuki ye pehle bar nhi tha jisne suicide kiya tha. Sabhi logo ka manna tha ki is gao me shetan ka was hai. Gao k mukhiya makhan ji unke pariwar me unki patni 2 bachche or dada ji hai jab raat hoti hai tab bache puchte hai ki dada ji kya hamare gao me sach me koi shetan hai to dada ji unko apne bachpan ki baat batate hai ki ek bar hamare gao ek vyakti ko kisi atma ya shetan ne bas me kar liya tha bohot log kehte the ki uski budi maa jo mar chuki hai uski atma thi par aisa kuch nhi tha bo kuch or hi tha jo atma se bhi bhayank tha gao walo ne kafi koshis Kari ki us atma ko uske sharir se nikal de par aisa nhi ho saka akhir me us atma ne ladke se apne aap ko marne k liye majboor kar diya usne apne pair kat liye apne sharir par chakuo se Nishan bana Dale or akhir me usne apna gala kat liya tha par usse pehle us shetan ne kuch diwar pe likha tha jo tha ki. "Kuch baate raaz hi rahe to acha hai" us samay gao wale bohot dar gaye the hume to ghar se bahar nikalne hi nhi diya jata tha ye baat sun k bache thode dar jate hai to dada ji kehte hai ki are darne ki baat nhi us din se aisa kuch nhi hua ki shetan ne kisi ko bas me kiya ho ha par suicide hui hai kis Karan ye nhi pata, fir bache apne kamre me sone chale Jate hai par bo sote nhi hai bo apas me baate karne lagte hai ki kya tumhe sach me lagta hai ki shetan jaisa kuch hota hoga bada bhai kehta nhi dada ji sirf hume darane ki koshis kar rahe the taki hum bahar na jaye fir bache bate karte karte so Jate hai fir agle din kuch aurte bate karti hai ki kaise din aa gaye hai ki log suicide karne k liye taiyar ho jate hai ha ab tum lakshami ko hi dekh lo fir dusri aurt kehti hai ki bese lakshami thi kaha ki rehne wali fir pehli aurt kehti hai ki are tum nhi janti kya bo to..... Are ha bo thi kaha ki rehni wali fir dusri aurt kehti hai ki uske pati ki maut kaise hui thi ye to pata hai par bo dikhta kaisa tha uska bol chal kaise tha kuch pata hai tumhe pehli aurt kehti hai ki nhi humne to sirf lakshami se hi suna tha ki uske pati ki maut sharab peene se ho gai thi fir dusri puchti haa par kaha or kya hum sach me lakshami k bare me jante bhi hai ya nhi fir aurte thoda dar jati hai kyuki ye baat andekha karne wali nhi thi kyuki gao me koi bhi ye nhi bata pa raha tha ki bo thi kon kaha se aai thi usk bache bhi bahar khelte hue nhi dikhte the par logo ne socha ab kya hi kare un bato k bare me charcha karke jiska koi matlab hi nhi Banta. Fir raat ho jati hai to mukhiya k bache chupke se raat ko bahar nikal jate hai or fir bo us kue ki taraf jate hai jaha lakshami or uske bacho ne suicide ki thi kafi andhera tha dono bhai behen hath pakad k chal rahe the tabhi uski bhn gir jati hai joki sirf bhai ko pata hai ki bo gir gai hai par uski bhn kuch or hi dekhti hai bo dekhti hai k uska bhai suke sath nhi hai bo chilla rahi hai par koi uski awaz nhi sun raha tabhi uske peeche se koi use pakad leta hai jab uski aankh khulti hai to bo apne aap ko apne ghar me pati hai or dekhti hai ki dada ji or uske papa bade bhai ko dat rahe hai ki tum log rat k samay bahar kyu Gaye fir bhn bolti hai ki dadaji ab nhi karege aisa bhaiya ko mat dato bachi choti thi or ghar me sabki pyari bhi thi to unhone bhi datne thik nhi samjha bache sahi salamt hai bo hi bohot badi baat hai fir sab so jate hai ladki apne sapne me ye dekhti hai ki use kue me sacrifice dalne hoge agle din subah hoti hai to pata chalta hai ki ek kisan ki bakri ka bacha nhi mil Raha to jo kisan tha bo ek vyakti pe ilzam lagata hai ki isne hi churai hogi kyuki yeh sharab Peeta hai or isne use bech diya hoga par bo admi mana karta hai ki mene Aisa nhi kiya bat mukhiya pe poch ti hai to mukhiya kehta hai ki bina kisi saboot k hum ise saja kaise de sakte hai tab jake thodi mamla shant ho jata hai fir usi raat mukhiya ki beti need se uthti hai or ek bakre k bache ko leke kue ki taraf jati hai lekin is bar weh admi ye dekh leta hai jispe ilzam lagaya tha to uska pehle peecha karta hai or dekhta hai ki jaise hi bo ladki bacha fekne wali hoti hai bo admi use pakad leta hai or chilla k gao walo ko bulata hai sabhi log ghab ra k uthte hai mukhiya bhi uthta hai uska beta kehta hai ki papa gudiya kahi nhi dikh rahi fir sabhi log kue ki taraf bhagte hai jab mukhiya pohchta hai to wo admi kehta hai ki dekho mukhiya tumhari beti kya kar rhi thi kare koi or bhare koi haa jab bachi se puchte hai ki Aisa kyu kar rhi thi to bo kehti hai ki mujhe Bali Deni hogi bo mujhse kehta hai ki use Bali do barna bo bhai ko mar dega to sabhi log dar jate hai ki ye kaisi bate kar rahi hai use Ghar laya jata hai or fir use Sula dete hai bhala bachi ko kon hi jimmedar samjhega fir bade bujurg bate karte hai ki Aisa ab kyu ho raha hai itne salo se sab thik chal raha tha fir bujurg log kehte hai ki hume bachi ko thik karna hoga Pooja karke. Agle din kafi pandit ate hai kehte hai ki ye gao shudh nhi hai hawan karna padega sab log kehte hai ji guru ji jaisa aap kahe fir hawan hota hai par bachi ki tabiyat kharab pe kharab hoti ja rhi hoti hai hawan to pura ho jata hai par bachi ki halat me koi sudar nhi dikhta balki ab or halat kharab ho chuki thi ankhe lal sukha sarir roti rehti din raat Ghar wale bohot pareshan kehte humne Aisa kya kiya hai jo hume bhugatna par raha hai.   

2
Articles
Kuch baate Raaz hi rahe to acha hai
0.0
Ye kahani purane samay ki hai jab log andh vishwas par yakin karte the or tabhi unke gao me kuch aisa hota hai jo bohot hi Dara dene wala tha