shabd-logo

Chapter 2 The End

4 January 2023

61 Viewed 61

Jo sharabi hota hai bo Dara hua mukhiya k pas ata hai or kehta hai ki aapko ye to pata hoga hi ki mene bhairav k mandir se chori ki thi mukhiya kehta haa par uska kya to sharabi kehta hai ki dar asal me chori to paiso ki karne gaya tha par pata nhi mujhe kya hua jaise mano ki me me hi nhi hu mujhe jameen se ek kalash mila jisme ek lakdi ki katputli thi jisme Keele lagi hui thi me kafi dar gaya tha to ye baat mene kisi ko nhi batai thi par mujhe lagta hai ki ab meri jaan ko khatra hai mukhiya kehta hai ki sari fasad ki jad tum ho tumhari wajah se meri beti ko in mushiklo se gujarna pad raha hai to sharabi kehta hai ki mene Janbujh k nhi kiya mukhiya ji mujhe bacha lo mukhiya k kuch samajh nhi ata ki kya karu tab bo use sharabi ko jane k liye kehta hai raat bhi ho gai thi kafi mukhiya apne ghar ake so Jata hai agli subah ye pata chalta hai ki us sharabi ki laash kue k andar milti hai jiski aankhe nhi hoti hai gao me maut ka matam chhaya hota hai mukhiya bhi ghabra jata hai fir raat hoti hai tab uski beti Halla karne lagti uski awaj bohot alag lag rhi hoti hai bo Pehle     

to shetan hasta hai fir kehta hai ki tum insaano me curiosity yani jigyasa bohot hai chhupe hue raaj kholne ki jigyasa bohot hai bhale hi bo raaj acha ho ya bura fir mukhiya kehta hai ki tumne meri beti ko kyu pakda hua hai tum ho kon kya chahte ho tab shetan kehta hai ki me kon hu haha shetan koi mamuli pishaj nhi humara astitv tum insano se pehle ka hai hum hamesha se bhi tumhare beech rahe hai ek saye ki tarah kisi ki budi maa to kbhi   lakshami banke hahahaha     tum insano ko mas bohot suwadisht hota hai khaskar tumhari ankhen hahaha mukhiya rota hai girgirata hai ki meri beti ko chhod do. Thodi hi der me kafi gao wale bhi waha a jate hai or jab bo najare dekhte hai to sab dar jate hai mano koi shetan dharti pe aaa Gaya ho baal khule ankhen lal shetan apne bister se uthta hai bo kuch harkate karta hai mano jaise bo insano ki bejati kar raha ho bo logo me khauf dekhna chahta hai bo us bachi k sharir me nakhuno ne Nishan banane lag jata hai mukhiya or ghabra k rone lagta hai shetan hasta hai or akhir me bo kuch aisa karta hai jo gao wale chah kar bhi Apni jindagi me bhula nhi payege bo bachi ka muh aise pakadta hai or kehta hai " kuch bate raaz hi rahe to acha hai "   THE END


SUMARRY
Dekha jaye to hamari duniya Kai duniyao se alag hai rehte be paraspar hai par be interfer nhi kar sakte par insaan ek jigyasa ka kua hai jo ki kabhi nhi bharta or wo hi jigyasa unke vinash ka karan banti hai kisi maksad se hi in duniyao k niyam banaye gaye hoge par bo niyamo ki diwar ab tut ti najar aa rahi hai 

2
Articles
Kuch baate Raaz hi rahe to acha hai
0.0
Ye kahani purane samay ki hai jab log andh vishwas par yakin karte the or tabhi unke gao me kuch aisa hota hai jo bohot hi Dara dene wala tha