shabd-logo

Rishte muhabbat k

23 July 2022

20 Viewed 20
            payal stage par aagyi thi.... layekin vivan ka sabar jawab de gaya tha....wo bhaagta howa aankho mein aanso liye waha se chala gaya....aur apne dost k pass chala gaya....uska dost achanak usey waha dekh kar pareshan hogaya layekin VIVAN tu bus roo hi raha tha...uske dost ne usey samjhaya layekin useh bus har jaga payal hi nazar aarahi thi... uski batein uski shararatein ...main mar jaonga payal tumahre bina ...I LOVE YOU PAYAL...I REALLY LOVE YOU ALWAYS JAAN .

         vivan rote howe khud se keh kar zaher khaa liya ..jo us ne aaj payal ko kisi aur ka hote dekhne k baad khana tha....aur aj usne zaher khaa liya tha...uska dost kitchen mein vivan k liye paani laane gaya tha ...aakr dekha tu vivan neeche gira tadap raha tha...aur uske muh se khoon nikal raha tha...uske dost ne usey hospital lekar gaya... aur hritik ko call ki k VIVAN ne suicide karne ki koshish ki hai aur wo sab hospital aajaye...sab hospital aagey the ....aur vivan k liye dua kar rahe the...

       
          aur payal tu behosh hi hogyi thi ....k vivan ne iski wajha se zaher khaa liya hai...aaj vivan k dost ne apne dost ki jaan bachane k liye wada tod kar sab ko vivan ki muhabbat k bare mein bata diya tha k wo payal se kitna pyaar karta hai...aur us se shaadi karna chahta tha... layekin....payal ka  RISHTA pahele se hi fixed hogaya tha..aur wo payal se dur hogaya tha ... isliye us ne zaher khaa liya k wo payal k bina nahi reh sakta tha....


           2 din baad vivan ko hosh aay tu sab ne usey daanta k wo ek baar tu unhein bata deta... phir jaise hi vivan theek howa vivan ki shaadi payal se kar di gayi...
7
Articles
Rishte muhabbat k
3.0
Insan ki zindagi mein uske rishte sab se zyada zaroori hote hain... rishtey muhabbat k ho tu insan khush kismat hota hai....