Rahul ek bahut payara bachcha tha jo paanchi kaksha me padta tha... Per uske saath kuch toh gadbad thi... Aao dekhte h ki kya samasya thi...
Rahul ka kabhi bhi koi bhi kaam samay se pura ni hota tha...
Veh ek dheema bchcha tha...
Maa k bulane per bhi der se uttar deta..
Har kaam ko pura karne me atyaadhik samay laga deta tha...
Vidhyalay se diya gaya grah karya bhi smapt nahi kar pata tha...
Aksar maa or peeta ji se daant khaya karta tha or vidhyalay me adhyapak se...
Kya karta vo aakhir... Sab kaam karna chahta tha per kar ni paata tha...
Ghar me padai bhi karta toh bhot dheere dheere kaam karta tha...
Aksar vidhalay me grahkkarya pura na karne ki vajah se daant or maar khaata tha...
Jab adhyapak ne usse naa karne ki vajah puchi toh bola ki mujhe samay ni mil pata..
Adhyapak ye baat sun kar sakpaka gaya or ye sochne pe vivash ho gaya ki aisi kya baat ho sakti h ki ye bachcha kaam pura ni kar pa raha..
Aakhir kya kaaran ho sakta h... Kya maata peeta isse ghar ka kaam karvate h, kya ye bachcha apne peeta k saath paisa kamane me unkin madad karta h, kya iss bachche ki tabiyat theek rehti hogi, kya ye bachcha aawaragardi karta h...
Ye sochte sochte adhyapak kaksha se bahar aa gaya or sochne laga...
Kher... Samay beeta or adhyapak dusri kaksha me padaane chala gaya...
Alge din bhor hui, Rahul ko maa ne pyar se uthaya... Nashta karvaya, dhoodh dia or khud se uska school ka basta laga kr , school chhodh ke aayi...
Ghar aane ke baad pata chala ki rahul apni pani ki bottle ghar bhul gaya h...
Kya karti bechari maa.. Uska bachcha pyasa na reh jaya, usko pyaas na lage bas issi vajah se vo bottle le ke school ki taraf bhaag ke gai or rahul k haathon me bottle thamaa di...
Rahul ke chehre per pyari si hassi dekh k uski maa bhi khush ho gai or unko tasalli ho gai..
Kher maa ghar vapis chali gai...
Kaksha me adhyapak aaye or bole ki grah karya kisne ni kia... Bas itna sunate hi Rahul khada ho gaya or bola ki master ji maine grah karta kia hai per pura ni kar paya...
Adhyapak ne pucha ki Rahul beta aisa kyu... Aap grah karta kyu pura ni kr paye... Rahul ne fir se yahi jawab dia ki master ji samay ni mil paya...
Kitne din aise hi chalta raha... Roj Rahul ke yahi bahane hote the ki samay ni mil paya... Samay ni mil paya....
Adhyapak pareshaan ho kar Rahul ko bola ki Rahul beta hum aapke mata peeta ae baat karna chahte h, unse milna chahte hai ... Aap kal apne abhibhavak ko bula k le k aao....
Aagle bhaag me dekhte hai ki aage kya hota h....