shabd-logo

meri Khamoshi

13 August 2022

51 Viewed 51
khamoshi ek yeshi sakti hai jise duniya ki koi takat nahi Hara sakti article-image

kon kyehta hai ki ladke ko rona nahi chahiye ladke roya nahi karte
mai ye janna chahta hu 
kya ladko ko chot nahi lagti kya ladke ko dard nahi hota
hota hai ladko ko bhi takleef hoti hai
agar ladke ko bhi kahin kat jaye to khun ladko ka bhi nikalta hai article-image

 agar kisi mahila ko koi takleef hoti hai na to wo sari duniya ke samne chikh Chik kar roti hai apne pati 
ko roro kar apni takleef batati hai to
ko apne boyfriend ko ro ro kar apni dil ki bat batati hai
 wohi koi bahana ro ro kar apni sasural ki bate apne Bhai ko sunati hai 
or jab ladke ko koi takleef hoti hai na to wo use khamoshi se sahen karte jata hai 
sab kuch bardast karte jata hai 
or jab bardast se bahar hojati hai na to kabhi hum bhi chupke se ro liya karte hai or hum rone ke liye bhi koi yeshi jagah dhundte hai  
jaha ki koi or na ho mere or mere tanhaiyon ke bich

yar hum ladke bhi insaan hai hume bhi jine ki ekxcha hai 
 
magar ye bat koi kahan samjhata hai 
agar hume koi rote hue dekh le to wo log majak udane lagte hai 
or kyehte hai yar wo kyesa ladka hai mard hokar ro raha hai




mere hinsab se yo ye log galat kyehte hai kiu ki agar insaan ka dil jab toot jaye or koi use tasalli Dene wala na ho to us insaan ko jibhar ke rolena chahiye

kiu ki ye sach hai jibhar ke rone ke bad dil ka bojh halka jarur hojata hai
 

or baat rahi khamoshi ki to insaan ko ye jaruri nahi hai ki kisi ki har sawalo ka jawab de kuch bate yesi bhi hoti hai 

jaha ki khamosh rahna hin behtar hota hai

agar pati patni me kabhi fight ho  
or patni guse me ho to pati ko khamosh rahna chahiye
or agar pati guse me ho to patni ko khamosh rahna chahiye na ki 
ek dusre ke sath bahesh baji karne ki kiuki 
maine dekha hai aksar bahesh baji karne se 
resto me darar pyeda hojati hai
is liye mera manna hai ki khamosh rahna jada vetar hai 
 agar office me Boss apne upar gusa horaha hai chila raha hai to woha bhi aapko khamoshi hin bachati hai or ek halka sa sorry boss
 


halaki khamoshi bardast karne wale bekti ko kafhi sari mosibato ka bhi samnna karna padta hai 
jo khamoshi bardast karte hai wo khud khamosh to rahte hai lekin sath me pure parivar ko khush rakhte hai 




lekin meri khamoshi ka matalab ye nahi ki agar kahi kisi ke sath kuch galt ho rahi ho or aap khamosh ho fhir yehi khamoshi 
aapke liye galt sabit hosakti hai 
  

insaan ko khamosh bhi wohin rahna chahiye jaha ki use rahna hai na ki har jagah
jaise ki aap manlijiye mujhe koi bewajah ajnavi insaan apni dadagiri dikhane ke liye mujhe Jalil kar raha hai mujhe mar raha hai 
 

woha to aapko muh bhi kholni chahiye or apna hath bhi

lekin mere kahne ka matalab
ye tha ki agar aapka pariwar badi hai dher sare log hai aapke pariwar me to woha khamoshi bahot hin madat karti hai resto me mithaas gholne me


or ye meri khamoshi hai jo mai apne pure parivar ke logo ka har bate sunta hu 
koi kyehta hai mujhe ye problem hai 
to koi kyehta hai mujhe ye takleef hai 

yar yaha sabke paas koi na koi problem hai 
lekin koi ye kiu nahi samjhta ki mai bhi insaan hu mujhe bhi koi problem hoskti hai mujhe bhi koi takleef hoskti hai 
mai kisko sunaun apne dil ka hal

isliye tanhai me hum ladke bhi chup chup kar ro liya karte haiarticle-image

More Books by Jhagru